Labels

Tuesday, 29 July 2008

phir usii raaha-guzar par shaayad
ham kabhii mil sakein, magar shaayad

jaan pehchaan se bhi kya hogaa
phir bhii ai dost Gaur kar, shaayad

muntazir jin ke ham rahe barso
un ko mil gaye aur hamasafar, shaayad

jo bhii bichhDe hain kab mile hain "Faraz"
phir bhii tuu intezaar kar, shaayad

No comments: