Labels
- Gulam Ali (4)
- Gulzar Saab (16)
- Jagjit Singh (12)
- Others (10)
Monday, 16 November 2009
HumDum
Mera waqif hai, bahut salon se mein use jaanata hoon
Jab mein chhota tha to ik aam udaane ke liye
Parli deewar se kandhon pe chadha tha uske
Jaane dukhti huee kis shaakh se jaa paanv lagaa
Dhaad se phenk diya tha muje neeche usne
Meine khunnas main bahut phenke the pathar us par
Meri shaadi pe mujhe yaad hai shaakhein dekar
Meri vedi ka hawan garm kiya tha usne
Aur jab haamla thi 'Biba' to dopahar main har din
Meri biwi ki taraf kairiyan phenki thi isi ne
Waqt ke saath sabhi phool, sabhi patti gaye
Tab bhi jal jaata tha jab Munne se kehti 'Biba''Haan,
usi ped se aaya hai tu, Ped ka phal hai'
Ab bhi jal jaata hoon. jab mod se gujarte mein kabhi
Khaanskar kehta hai, 'Kyo, Sar ke sabhi baal gaye?'
'Subah se kaat rahe hain woh Kameti wale
Mod tak jaane ki himmat nahin hoti mujhko'
Dastak
Subah subah ik khwab ki dastak par darwaza khola, dekha
Sarhad ke us paar se kuchh mehmaan aaye hain
Aankhon se maanoos the saarey
Chehre saarey sune sunaaye
Paanv dhoye, Haath dhulaye
Aangan mein aasan lagwaaye...
Aur tandoor pe makki ke kuchh mote mote rot pakaye
Potli mein mehmaan mere
Pichhale saalon ki faslon ka gud laaye the
Aankh khuli to dekha ghar mein koi nahin tha
Haath lagakar dekha to tandoor abhi tak bujha nahin tha
Aur hothon pe meethe gud ka jaayka ab tak chipak raha tha
Khwab tha shayad!Khwab hi hoga! !
Sarhad par kal raat, suna hai, chali thi goli
Sarhad par kal raat, suna hai
Kuchh khwaabon ka khoon hua hai
Tuesday, 29 September 2009
khushboo jaise log mile...
Khushboo jaise log mile afsaane mein...
Ek Purana Khat khola anjane mein!
Shaam ke saaye balishton se naape hain...
Chand ne kitni der laga di aane mein!
Dil par dastak dene ye kaun aaya hai...
Kiski aahat sunta hoon veerane mein!
Jaane kiska zikr hai is afsaane mein...
Dard maze leta hai jo dohraane mein!
Tuesday, 22 September 2009
Tere utaare hue din - Das Kahaniya
Tere utaare hue din
tange hain lawn mein ab tak
na wo purane hue hain
na un ka rang utra…
Kahin se koi bhi seewan abhi nahi udhri
Ilaaichi ke bahut paas rakhe pathar per
zara si jaldi sarak aaya karti hai chhaon
zara sa aur ghana ho gaya hai wo pauda
main thora thora woh gamla hatata rehta hoon
fakira ab bhi wahin meri coffee deta hai
Gilehrion ko bula ker khilata hoon biscuit
Gilehrian mujhe shaq ki nazar se dekhti hain
wo tere haathon ka musk jaanti hongi….
kabhi kabhi jab utarti hai cheel shaam ki chat se
thaki thaki si zara deir lawn mein ruk ker
safaid aur ghulabi muswande ke paudon mein ghulne lagti hai
ke jaise barf ka tukra pighalta jaye whisky mein
main scarf din ka gale se utaar deta hoon
tere utaare hue din pehan ke ab bhi main
teri mehak mein kai roz kaat deta hoon
Monday, 6 July 2009
Alaav
Raat bhar sard hawa chalti rahi
Raat bhar hamne alaav taapa
Maine maazi se kai khushk see shaakhien kaati
Tumne bhi gujre hue lamhon ke patte tode
Meine jebon se nikali sabhi sukhi nazme
Tumne bhi haathon se murjhaaye hue khat khole
Apnee in aankhon se meine kai maanze tode
Aur haathon se kai baasi lakeeren phenki
Tumne palkon pe jo nami sookh gayee thee, so gira di
Raat bhar jo bhi mila ugte badan par humko
Kaat ke daal diya jalte alaawon main use
Raat bhar phoonkon se har lau ko jagaye rakha
Aur do zismon ke indhan ko jalaye rakha
Raat bhar bujhte hue rishte ko taapa humne
Friday, 3 July 2009
shafaq
Roz sahil pe khade hoke yahi dekha hai
Shaam ka pighla hua surkh-sunhari rogan
Roz matiyale-se paani mein yeh ghul jaata hai
Roz sahil pe khade hoke yahi socha hai
Mein jo pighali huee rangeen shafaq ka rogan
Ponchh loo haathon pe
Aur chupke se ik baar kabhi
Tere gulnaar se rukhsaaron pe chhap se mal doon
Shaam ka pighala hua surkh-sunhari rogan
Tuesday, 30 June 2009
Aao phir nazm kahen
Phir Kisi Dard Ko Sahla Ke Suja Le Ankhen
Phir Kisi Dukhti Rag Se Chhua De Nashtar
Ya Kisi Bhooli Huee Raah Pe Mudkar
Ek Baar Naam Lekar Kisi Hamnam Ko Awaz Hi De Le
Phir Koi Nazm Kahen
Friday, 26 June 2009
Nazm
misre atke hue hai hotho par,
labz kagaz par baithte hi nahi,
udte rahte hai titliyo ki tarah,
kabse baitha hu main, "JANAM",
sade kagaz pe likh ke naam tera,
bas ek tera naam hi mukammil hai,
is se behtar bhi NAZM kya hogi.
Wednesday, 3 June 2009
Raat aankhon main dhali....
Hum hawao ki tarah jaake use chu aaye
Bas gayi hain mere ehsaas main yeh kaisi mehak
Koi khusbu main lagau, teri khusbu aaye
Usne chukar mujhe pathhar se phir insaan kiya
Muddato baad mere aankh main aansu aaye
Maine din raat khuda se yeh dua maangi thi
Koi aahat na ho dar par mere, jab tu aaye
Tuesday, 26 May 2009
Sparsh....... A masterpiece by Gulzar saab
Quran haathon mein leke naabina (blind) ek namaazi
labon pe rakhta tha, dono aankhon se choomta tha
jhukaake peshaani (forehead) yu aqiidat (faith or belief) se chu rahaa tha
jo aayatein (verse) padh nahi sakaa , un ke lams (touch) mehsoos kar raha ho
main hairaan-hairaan guzar gaya tha
main hairan hairan thahar gayaa hu
tumhaare haathon ko choom kar, chhu ke apni aankhon se
aaj maine, jo aayatein padh nahi sakaa, un ke lams mehsoos kar liye hain
Monday, 25 May 2009
Dil dhadakne ka sabab....
Woh Teri Yaad Thi Ab Yaad Aaya
Aaj Mushkil Tha Sambhalana Aye Dost
Tu Musibat Mein Ajab Yaad Aaya
Haal-e-Dil Hum Bhi Sunate Lekin
Jab Woh Rukhsat Huey Tab Yaad Aaya
Phir Kayee log Nazar Se Gujare
Phir Koi Sharab-e-Tarab Yaad Aaya
Din Guzara Tha Badi Mushkil Se
Phir Tera Wada-e-Shab Yaad Aaya
Tera Bhula Hua Paimane-e-Wafa
Mar jayenge Agar Ab Yaad Aaya
Baith Kar Saaya-e-Gul Mein Nasir
Hum Bahut Roye Woh Jab Yaad Aaya
tarab-enjoyment
shab-night
Faasle aise bhi honge.....
Faasle aise bhi honge kabhii socha na thaa
saamne bethaa thaa mere, aur vo meraa naa thaa
vo ki khushboo ki tarhaa failaa tha mere char suu
main use mehsoos kar saktaa tha, chuu saktaa na thaa
raat bhar pichli hi aahaat kaan mein aati rahi
jhaank kar dekha gali mein, koi bhi aayaa na thaa
khud chadhaa rakhe they tan pe ajnabiyat ke gilaaf
varnaa kab ik doosre ko humne pehchana na tha
aks to maujood they par aks tanhai ke they
aaina to tha magar us mein teraa chehraa na thaa
aaj usne dard bhi apne alahadaa kar diye
aaj main royaa to vo mere saath royaa na tha
ayi sabhi veraaniyaan us k judaa hone se thi
aankh dhundhalai hui thi, shahar dhundhalayaa na tha
yaad kar k aur bhi takleef hoti thi "Adeem"
bhool jaane k siva ab koi bhi chaara na thaa
kuch din to baso meri aankon me
Kuch din tou baso meri aankhon main
Phir khawab agar ho jao tou kya!
Koi rung tou do mere chehray ko
Phir zakham agar mehkao tou kya!
Ik aaina tha sou toot gaya
Ab khud se agar sharmao tou kya!
Main tanha tha, main tanha hoon
Tum aao tou kya, Na aao tou kya!
Jab hum hi na mehkay phir sahib
Tum baad-e-saba kehlao tou kya!
Jab daikhnay wala koi nahin
Bujh jao tou kya, jal jao tou kya!
Thursday, 14 May 2009
Specially for U........
ap ka ghar hai aya jaya karo
muskurahat hai husn ka zevar
rup barhata hai muskuraya karo
had se baD kar hasin lagate ho
jhuthi qasmen zarur khaya karo
hukm karna bhi ek sakhavat hai
ham ko Khidamat koi bataya karo
bat karana bhi badashahat hai
bat karana na bhul jaya karo
ta ke duniya ki dilkashi na ghate
nit naye pairahan men aya karo
kitane sada mizaj ho tum `Adam`
us gali men bahut na jaya karo
Thursday, 16 April 2009
Dil ko kya ho gaya
dil ko kyaa ho gayaa Khudaa jaane
kyon hai aisaa udaas kyaa jaane
kah diyaa main ne haal-e-dil apanaa
is ko tum jaano yaa Khudaa jaane
jaanate jaanate hii jaanegaa
mujh men kyaa hai abhii wo kyaa jaane
tum na paaoge saadaa dil mujhasaa
jo taGaaful (indifference) ko bhoi hayaa jaane
My Blog List
-
Catharsis9 years ago
-
MY FUNDA OF MY MANAGEMENT17 years ago
-
-