Labels

Tuesday, 26 May 2009

Sparsh....... A masterpiece by Gulzar saab

Quran haathon mein leke naabina (blind) ek namaazi

labon pe rakhta tha, dono aankhon se choomta tha

jhukaake peshaani (forehead) yu aqiidat (faith or belief) se chu rahaa tha

jo aayatein (verse) padh nahi sakaa , un ke lams (touch) mehsoos kar raha ho

main hairaan-hairaan guzar gaya tha

main hairan hairan thahar gayaa hu


tumhaare haathon ko choom kar, chhu ke apni aankhon se

aaj maine, jo aayatein padh nahi sakaa, un ke lams mehsoos kar liye hain

Monday, 25 May 2009

Dil dhadakne ka sabab....

Dil Dhadkane Ka Sabab Yaad Aaya
Woh Teri Yaad Thi Ab Yaad Aaya

Aaj Mushkil Tha Sambhalana Aye Dost
Tu Musibat Mein Ajab Yaad Aaya

Haal-e-Dil Hum Bhi Sunate Lekin
Jab Woh Rukhsat Huey Tab Yaad Aaya

Phir Kayee log Nazar Se Gujare
Phir Koi Sharab-e-Tarab Yaad Aaya

Din Guzara Tha Badi Mushkil Se
Phir Tera Wada-e-Shab Yaad Aaya

Tera Bhula Hua Paimane-e-Wafa
Mar jayenge Agar Ab Yaad Aaya

Baith Kar Saaya-e-Gul Mein Nasir
Hum Bahut Roye Woh Jab Yaad Aaya


tarab-enjoyment
shab-night

Faasle aise bhi honge.....

Faasle aise bhi honge kabhii socha na thaa
saamne bethaa thaa mere, aur vo meraa naa thaa


vo ki khushboo ki tarhaa failaa tha mere char suu
main use mehsoos kar saktaa tha, chuu saktaa na thaa


raat bhar pichli hi aahaat kaan mein aati rahi
jhaank kar dekha gali mein, koi bhi aayaa na thaa


khud chadhaa rakhe they tan pe ajnabiyat ke gilaaf
varnaa kab ik doosre ko humne pehchana na tha


aks to maujood they par aks tanhai ke they
aaina to tha magar us mein teraa chehraa na thaa


aaj usne dard bhi apne alahadaa kar diye
aaj main royaa to vo mere saath royaa na tha


ayi sabhi veraaniyaan us k judaa hone se thi
aankh dhundhalai hui thi, shahar dhundhalayaa na tha


yaad kar k aur bhi takleef hoti thi "Adeem"
bhool jaane k siva ab koi bhi chaara na thaa

kuch din to baso meri aankon me

~ OBAIDULLAH ALEEM ~

Kuch din tou baso meri aankhon main
Phir khawab agar ho jao tou kya!

Koi rung tou do mere chehray ko
Phir zakham agar mehkao tou kya!

Ik aaina tha sou toot gaya
Ab khud se agar sharmao tou kya!

Main tanha tha, main tanha hoon
Tum aao tou kya, Na aao tou kya!

Jab hum hi na mehkay phir sahib
Tum baad-e-saba kehlao tou kya!

Jab daikhnay wala koi nahin
Bujh jao tou kya, jal jao tou kya!

Thursday, 14 May 2009

Specially for U........

Hans Ke Bola Karo Bulaya Karo
ap ka ghar hai aya jaya karo

muskurahat hai husn ka zevar
rup barhata hai muskuraya karo

had se baD kar hasin lagate ho
jhuthi qasmen zarur khaya karo

hukm karna bhi ek sakhavat hai
ham ko Khidamat koi bataya karo

bat karana bhi badashahat hai
bat karana na bhul jaya karo

ta ke duniya ki dilkashi na ghate
nit naye pairahan men aya karo

kitane sada mizaj ho tum `Adam`
us gali men bahut na jaya karo