Labels

Tuesday, 29 July 2008

Diyaar(country) e Ghair mein kaise tujhe sadaa dete
Tu mil bhi jaata to tujhe ganwa dete

Tumhi ne hum ko sunayaa na apana dukh varna
Dua vo kartay ke hum aasmaan hilaa detay

Hamein ye za'um(ghamand) rahaa ab ke vo pukaareinge
Unhein ye zid thi ke har baar hum sada detay

Wo tera ghum tha ke taaseer mere lehjay ki
ke jis ko haal sunaatay usay rulaa detay

Tumhein bhulana hi avval to dastaras (reach) mein nahi
Jo iKhtiyaar bhii hotaa to kyaa bhulaa dete

Tumhaari yaad ne koi javaab hee na diyaa
Mere Khayaal ke aansu rahay sadaa detay

Sama'aton (hearing ability) ko main taa umr kostaa "Syed"
Wo kuch na kehtay magar hont to hila detay

No comments: