Labels

Thursday, 21 August 2008

mujh me jo kuch achha hai sab us kaa hai

meraa jitna charcha, hai sab uskaa hai


us ka mera rishtaa badaa puraanaa hai

maine jo kuch sochaa hai sab us kaa hai


meri aankhein us ke noor se roshan hain

main ne jo kuch dekhaa hai, sab us kaa hai


main ne jo kuch khoya thaa sab us kaa thaa

maine jo kuchh paaya hai, sab uskaa hai


jitni baar main TuuTa hun vo TuuTa tha

idhar udhar jo bikhraa hai, sab us kaa hai

No comments: